Before, coming to Manipal- I was never into asking for money. But, somehow the culture has seeped into me after coming here. It’s unavoidable. I have however tried to keep my udhaari circle (not to be confused with friend circle)down to a few people only.
Anyways, here are a few sentences that I hear often. This post will help me capture the essence of my financial crisis when I am out of this place, and god willing am self or wife dependent for monetary issues. Each sentence tells a story.
Woh bhi humari tarah hi hai. Pata chala- mere se hi maang liya.
Maang toh sakta huu. Par achcha nahi lagta. Kabhi maange nahi pehle.
Usse toh abhi maange thhe. Abhi uske paas bhi nahin honge.
Tere kab aa rahe hai?
Mere monday ko aa rahe hain, uske baad main return kar dunga.
Saale ko 300 rupai diye the, abhi tak waapis nahi aaye.
Usse main tabhi maangta huu, jab bilkul unavoidable situation aa jaati hai.
Usko maine past mein itna diya hai, ab mana nahi kar sakta.
Oye, aaj main apne account pe tere ko khilva deta huu. Tuu food court ke bajaai, mujhe paise de de.
And, after all this:
Mummy, aap paise nahin bhejogi toh main udhaari leke arrange kar lunga. Par, aap hi ne sikhaaya tha ki kabhi kisi se kuch bhi maangna nahi chahiye. Usse garibi aati hai. Abhi aap 1000 dalva do. Agle mahine utna kam dalva dena.
No comments:
Post a Comment